Luti Kin Fizaon May Ale Paymber | Nohaqan: Mirza Sikander Ali | old Noha | Purane Nohay | Soz

2022-08-17 48

ll بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم ll
Gift for All Momineens
--------------------------
Video Details!
Noha - Luti Kin Fizaon May
Shayar: Viqar Nagri
Nohaqan: Mirza Sikander Ali
Uploaded By | Saiyed VasimHaider Nizamali Bukhari
#noha #Nohay #manqbat #shayari #Like #Comment & #Share To All Momineen.
--------------------------

Please Share Your Suggestions In Comments
--------------------------
Follow US On Our Social Media Channels :-
FACEBOOK : https://www.facebook.com/saiyedvasimhaider.bukhari
INSTAGRAM : https://www.instagram.com/vnbukhari
YOUTUBE : https://www.youtube.com/channel/UC6rGOL8pf4JCklRLs9TNDWQ
TWITTER : https://www.Twitter.com/vasim1230

--------------------------
LYRICS
Noha - Luti Kin Fizaon May
Shayar: Viqar Nagri
Nohaqan: Mirza Sikander Ali

luti kin fizaon may aale payambar
na mai keh sakoonga na tum sun sakoge
hua kaise khaali ali ka bhara ghar
na mai keh sakoonga na tum sun sakoge

lagi dil pe barchi jigar moo ko aaya
sada aayi maqtal se baba kahan ho
chale kis ka laasha uthane ko sarwar
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....

wo khoonkhar sehra wo wehshi hawaein
wo sunsaan jangal wo maa ki sadayein
kahan sogaye jaake jhoole se asgahr
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....

bada shimr khanjar liye kiski jaanib
pukaara tha maqtal se kis ne ali ko
nazar aaya sar kiska noke sina par
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....

kahoon umme laila ka mai haal kaise
bayan kya ho kulsoom ki bebasi ka
utaari gayi kaise zainab ki chadar
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....

na poocho nakhad si taari thi kis par
na poocho kise ghash pe ghash aa rahe thay
ab aise may jalne laga kiska bistar
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....

sataya tha ghurbat may kisko shaki ne
kahoo kaise ruqsaar thay kiske zakhmi
tamachay lagata tha kisko sitamgar
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....

wo be-chadari wo aseeri ka aalam
wo pur-haul sehra wo bedafn laashe
wo shame ghareeba ka dil soz manzar
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....

viqar aah kis dil se ab mai bataun
jo guzri hai zainab ke qalbe azeen par
wo bazaar o darbare koofe ka manzar
na mai keh sakoonga....
hua kaise khaali....
--------------------------
Allah jjh
Muhammad saw.
Ali a.s Fatima a.s
Hasan a.s
Hussain a.s.
Zainab a.s
Abbas a.s
Syed nadeem sarwar
Irfan haider
Farhan Aliwaris
Mir hassan Mir
Ali jee
Ali shanawar
Noha Nouha
Nowha
Nohey
Latmiya
Marsiya
Soz
Salaam
Naat
Qasida
Shayari
Muharram
Manqabat
Wiladate
Shahadat